JPSC has divulged the Model Answer Key based on that mains examination was conducted ,It is learned that the Key submitted in High Court still have errors.
JPSC experts of Public Administrative Optional subject has given wrong answer for the very basic question asked in the Public Administration.
In its re-revised new model answer of Public Administration, JPSC has altered nine questions from the 100 question asked in the PT amongst them 4 question has been deleted while answer of 5 question has been changed.
Courtesy Polyeyes.com
Link:
http://polyeyes.com/Article/JPSC-Public-Administration-Optional-Answer-key-still-have-errors
144 comments:
JPSC ka bat karna v bejjati lagta hai.
Naya chairman v kuch nahi kar pa raha hai.
Pankaj tum kuchh bhi kar lo ab tum pass hone se rahe. 1 ya 2 error har answer key me ho sakte hai. Answer akhir expert ne diya hai. High court galat hai aur pankaj aur baki failed students galat hai. Are bhai fail kiye ho to agey ki taiyari karo. Nahi to wrong answer wrong answer wrong answer karte rah jaoge.
exam can not be cancelled just b/c 1 answer is wrong in one paper out of 25 odd optional papers... so be coooool............
bhai avi to ek hi model answer aya hai.
Hungama to tab hoga jab Sociology ka ayega.
Cancle and no cancle ki bat nahi hai .ye Justice ka bat hai.
2question ka matlab 4 marks hota hai and 4 markas me kitne log andar bahar honge apko v pata hai.
Mr Ajay lakra ap pankaj ji pe personel comment na kare.
waise v wo batut upar ki chij hai...
unko paas fail se keya lena dena ..
Ye blog hum logon ke leay hi chalta hai...
we salute his efforts ...
he is good with his Goindocal.com...
Blog me upar me uska link v hai wo unhi ka hai...
manoj bhai saheb aapne to ye assume kar liya ki aap failed student hi us questions ka answer sahi karenge aur jo passed hain wo to aiwein hi hain.. itna to aapko maan lena chahiye ki jo paas huwe hain wo fail se achhe hain.. to wo v sahi karenge.. aur scaling ke baad koi fark nahi parega final result me.. aur ye avi writ petition hai isme saare subject ka nahi aayega.. but yes I agree ki JPSC ko mains lene ke pahle hi apna model answer nikalna chahiye tha.. n jo v mistake fir v tha use remove kar lena tha.. aur sirf 1 queation galat hai.. non coercive theory ko hataya gaya hai to uske peechhe jaroor koi logic hoga.. delete karne wala v expert hi tha.. ye logic dena ki upsc me aaya tha so nahi hataya jaa skata gale nahi utrti.. upsc ne model answer to diya nahi tha.. aur balwantrai mehta wale ka dono hi answer sahi hai one directly n another indirectly.. so better this question should hvbeen deleted...
Anon...Bhai:
Mai paas logon ke against nahi hun na hi exam cancle karwana chahta hun.
Kripya meri baat ko anayatha na len..
mai to sirpg process ke baat kar raha hun..
Jaise JPSC ne keayahai wo sabko fasa deaya hai.
Pass log v struggle kar rahe hai anf fail to struggler hai hi.
Court se kuch aisa waisa hua tab keya hoga,,,
wo to yahi hua na upar chadha kar gira dena.
Kuchh nahi ho sakta ab. Ek do galtia sabhi exam me hote hai. Is ground par pt ya mains cancel nahi ho sakta. Result 20th aug ke baad kabhi bhi aa sakta hai.
Saab kuch hoga neelam ji. Jpsc ne affidavit diya tha ki model answer sahi hai. Further question delete karne ke karan usae affected students ko compensate karna chaiye jaisa patna hc ne kiya tha. Sabhi students ko apne subject ka model answer jpsc se mangna chaiye tabhi commission ka sara omission aur commission samne aa payega.
Saab koi high court pahuche
Aaj hearing hai saab tiwari ji ke court me pahuche
Doston Sablogon se Vinamra Agrah hai ki ajj badi sankhya me high court pahunce.
Hamara case Tiwari ji ke bench me hai jyada log honge tab pressure banega tavi justice jaldi ayega nahi to fir se date mil jayega.
Chatra Jagran Morcha
Kitne baje hearing hai
Ajay chaddi se ab kuchh nahi ukhdega. Cancel matlab cancel. Ha ha ha ha ha. Chor ka aulad!
jpsc main exam case ki jordaar sunwai jari hai. decision aaj evening tak aane ke poore chance hai. abhi tak to jpsc backfoot par hi nazar aa rahi hai. affidavit dene ke baad bhi model answer me galtiyon par court ne badi talkh comment kiya hai aur jpsc ko koi jawab bhi deta nahi ban pa raha hai. lagta hai chatra jagran manch case jeet jayega..
jeet gye b jeet gye hm case court m.ab jpsc ki bj gye pungi.mains dubara hoga pt reselt niklne ke bad
1. Case cjm ne nahi kiya hai. Cjm ke .......me itna dam nahi hai ki exam cancel kara sake.
2. Mains ho chuka hai. Ab jpsc ko adhik se adhik fatkar mil sakti hai.
3. Cancel ho to bhi 1 ya 2 hi naye student pass honge.
4. Pass wahi karega jo padhega.
CJM Har us Muhim ka hissa hai jo JPSC me wayapt bhrastrachar ke khilaf hoo raha hai.
We have extended our active support to this case..
So Badal ap bram na failaye ,hum court me lad rahe hai jo faisla hoga pata chal jayega
CJM
yes... 4th jpsc me judge ne decision de diya. main exam cancell kar phir se P.T. ke result ko revise karne ka order diya. ye to hona hi tha .CJM ko many many thanks!
naveen ka news galat hai
jpsc mains cancelled
ye nahi ho sakta
hai ram
ye phir yaha bakwas hone laga hai
CJM NE CASE JEET LIYA HAI
AJAY JEE KO BADHAI
kya order aaya hai?
KOI FIRE BRIGADE BULAO
SABHI KO GUUSSSA BAHUT AA RAHA HAI
PT RESULT WOULD BE REVISED THEN FRESH MAINS WOULD BE CONDUCTED
GOOD NEWS INDEED
are ye kya huaaaaa
loot gaya
barbaaad ho gaya
Teri meri, meri teri prem kahani hai mushqil
Do lafzoon mein yeh bayaan na ho paaye
Ik ladka ik ladki ki yeh kahani hai nayi
Do lafzoon mein yeh bayaan na ho paaye
great effort by cjm.hats off to Ajay choudhary and his team. It was indeed imminent. let us see what next step jpsc is going to take!
tere naam(jpsc coorruption hatao) hamne kiyaa hai jeeevan apna sara sanam
kya kisis ke paas authentic information hai aaj ke hearing ki???
ab kaun sa authentic information chahiye bhai. judgement student ke favour me aa gaya aur jpsc ki akad bhi gayi. agar main exam diye ho to result bhool jao aur fail ho to main ke liye taiyar ho jao
ye students ke favor ka judgement ya CJM ke favor ka judgement kaise hai?? mains hi to dobara hoga aur agar answer 1 -2 question ka galat v hai to usse bus 3-4 naye ladke aa sakte hain.. baki to wahi rahenge.. isme ladko ki kya jeet hui hai? main nahi samajh paya...pt to cancel nahi hua hai...
revised result kya without scalng hoga? tab to kitne mains wale baher ho jayenge-bpsc ke pattern per mamla ko kathm karna chahiye-sabo ke liye behtar hoga-time jpsc ke ego ke karan loss ho raha hai sabka-frustation bhi badh raha hai-let's see and wait--
sari fake news aa rahi hai yahan par.. sabse jyada misleading comments yahin aate hain.. so do not trust on comments on infowire.. agar pankaj ka ya ajay chaudhary ka koi comment aata hai then it can be accepted... baki sab aiwein hi hain..
Kuchh nahi hoga , result anewala hai.
result nahi aayega.
court sirf 1 wrong answer par exam cancel hi nahi kar sakta wo v mains hone ke baad.. next to impossible.... kare phir 2judge bench me humlog case karte hain...
Dn't worry friend,,,only some student vl b add tn they vl be compett for mains exam,but finally they vl b out like uppsc.but due to ts judgement some delay could be possible.
to kya sahi me judgement aa gaya hai?? n kya sabke liye re-exam of mains hoga???
what is authentic info regarding jpsc case ? has mains been cancelled ?
please update about jpsc case ? please
what was the contour of judgement ?please share
any authentic news on 2day's hearing??? what happened??
kisi v newspaper me koi news nahi hai mains cancel ke regarding means it was a fake news as usual...aur ab tak ajay chaudhary likh chuka hota anubhuti ke site par...
Nothing hapnd. Next date 12th sept. Tabtak final result bhi aa jayga aur joining bhi.
jugde lewal date per date hi dega jab ak woh retire na ho gaye. sare sale mile hue hai aur students ki life barbaad kar rahe hai.
ok.. thnx aakaash this is an authentic news.... it means court has not put stay on the result of mains in writing...
what happened in jpsc case ? please provide authentic and reliable info ? thanks
what transpired in jpsc case yesterday ? if next hearing is on 12 sept does it mean that result couldn't come before 12 sept ,what actually court has said anyone please share the information ,please.
akashji ,earlier it was said that hc has said that jpsc can't publish mains result till case no.2487/12 is disposed off ,what is real situation plz share does it mean that result can't be published before final judgement ,anyone in ranchi,please please share what jpsc is telling?
झारखण्ड में लोगों की अपेक्षाओं का प्रतिदिन सरेआम कत्लेयाम हो रहा है और दुर्भाग्य इस बात का है की यहाँ प्रजातंत्र के सभी स्थम्भ हिल चुके है चाहे वों सर्कार हो नयायपालिका हो या मीडिया हो सबने हमको निराश ही की है सरकारी कार्यालयों में भयंकर भ्ह्रास्ताचार व्याप्त है ऑफिस में ओफ्फिसर्स नहीं हैं और दूसरी तरफ योग्य उम्मीदवार सड़क पर घूम रहे है
झारखण्ड लोक सेवा आयोग नें सारी सीमाओं का अतिक्रमण कर लाया है और इस कुकृत्य में सर्कार और नयायालय भी उनका साथ देता रहा है आप लोग खुद समझदार है जो मामला १० दिनों में सुलझाया जा सकता था उसमे सिर्फ डेट -डेट -डेट मिल रहा है
१० वर्षों में जितने भी नयूक्ति हुई है सब संदेह में है ...सभी ओफ्फिसर्स और नेतागण यहाँ की भीली भली जनता को लूट रहें है
ये तो सबको पता है की ३-४ झारखण्ड लोक सेवा आयोग परीक्षा भी सीबीआई जाँच करेंगी
मै झारखण्ड लोक सेवा आयोग से आग्रह करता हूँ जो भी करे पूरी जिम्मेदारी से करें जो लड़के मैंस देय है उनका भविष्य से न खेलें
Highcourt ne result pe stay nahi lagaya hai. Stay order written me hota hai verbal nahi. Regional ka copy bhi check ho chuka hai. Scaling process chal raha hai. Sase tham kar result ka intejar kare. Result kabhi bhi aa sakta hai. Kal court me bahas hui magar justice tiwari par bahas ka koi asar nahi hua, hoga bhi kaise 1 ya 2 answer to controversial hote hi hai. No stay!
Main petitioners and Chaatra JAgran MAnch se request karta hoon ki wo apna case wapas le len...Kyunki unka jo main case tha wo PT ko cancel karane se tha... Ab unhe v pata hai ki pt kisi v haalat me cancel nahi hoga.. Agar bahut jyada hua to ya to mains cancel hoga ya 8-10 naye logon ko fir se mains dene ko kaha jayega... jabki iska fayda sirf boundary line wale kuch ladko ko hi milega aur jyadatar petitioners ko ise koi fayda nahi hai.. Par isse jo mains diye hain unhe jaroor taqleef ho rahi hai as delay ho jayega aur saath me frustration v aati hai.... Petitioners v apna paisa aur time kharch kar rahe hain bina wajah ye jante hue ki PT mains hone ke baad kisi v haalat me cancel nahi ho sakta..as koi wajah hi nahi hai.. so unse request hai ki wo mains dene wale students ke points ko samjhe aur apne petitions wapas le len .. ye sabke liye sahi hai...
Pahle mains cancel hoga aur phir new answer ke basis par bina scaling ke 20000 result diya jaiga.
bhai saheb 20000 result ka to is janam me ab bhul jaiye ki kavi aayega... kyunki notification me hi 10 times likha hua hai.. isiliye day dreaming mat kijiye... 200 seat ke liye 20000 ladke to pre ka kya matlab raha? apne aapko dhokha mat dijiye.. agar koi exam haath me hai to uska preparation kijiye.. 23 september ko Asst PF commissioner ka exam hai.. prepare for that.. pls. stop day dreaming...
Bhai PT hi keon lete ho direct mains hi le loo LOL...
kya hua kal jpsc case mein ?
Pt cancel ho raha hai.
Tum pt pass log jada maat uudo. Tumhare aanusar galat keys ke aadhar par pt ka result jayaz hai par 20000 result galat hai. Wah re logic.
what happened in court yesterday regarding jpsc case ? now it seems result will be delayed because of ongoing hearing in hc.anyone who have access to jpsc officials or reliable sources in jpsc could shed light on it . please
koi batayega kal court me kya hua aur kya result court hearing khatam hone ke baad aayega .
Pt cancel tay hai.
Bhai 4th JPSC to fas gaya hai...
Government and JPSC ko age badhkar 5th JPSC announced kar dena chaheay so fail ladke aur wo v jo 4th me pass hai aur door door tak sabkuch thik hota nahi dikh raha hai bhi jod laga kar lag jayenge.
Sabse achha yahi rahega isime sabka bhala hai.
bhai logon 1 ya 2 answer galat hain wo v agar worst case scenario len to 3 ya 4 paper me.. Aap sabko pata hai ki scaling hui hai.. Isiliye actual marks ultimately scaled marks me badal jata hai to chalo 20-30 naye ladke aa sakte hain jo mains ke liye eligible honge...Ab jara aap log common sense se bataiye ki kya 30-40 ladkon ke liye 3400 ladkon ke liye liya gaya mains cancel ho sakta hai.. Koi v court decision lene ke pahle ye sochti hai ki kitne log affected honge... So mains cancel to kisi v court se nahi ho sakta.. jyada se jyada un 30-40 ladkon ke liye alag se mains ho sakta hai jaise uppcs me ekbaar hua tha.. But chunki JPSC obviously naaraaj hoga un logon se as use phir se poora exam , question paper organise karna parega.. so unhe written me no nahi diya jayega aur agar 1-2 interview ke liye pahunch v gaye to wahan unse hisaab kitaab tay kar liya jayega..
Ab kuch log kah rahe hain ki 20000 result aane ka.. ye to ho hi nahi sakta as is par koi hearing ho hi nahi rahi hai.. court ko koi right hi nahi hai ki wo notification me change kara sake.. ye agar sambhav tha to last year hi cabinet se jo samay ab khatam ho gaya..
Court process se jo mains diye hain unke liye thodi deri aur hogi jo kisi ke liye v sahi nahi hai neither for those who r appearing in mains n nor for those who have failed.. Kyunki ab tak 5th pt ka notification aa jata.. lekin chunki 4th bematlab ka der kiya jaa raha hai , isiliye 5th kisi v haal me tab tak nahi aayega jab tak 4th ka interview start na ho jaye.. jhan tak chance hai ki 5th me jyada seat aane ki sambhawana hai.. par agar bematlab ke court cases se 4th ke result me deri ki gayi to bahut sambhawna hai ki unme se kuch seat 4th me hi jod di jaye aur finally failed students ko aur v loss ho jaye....
Aise v sirf 291 seat hai aur so only avi v sirf 9% students jo mains me appear hue hain qualify karenge aur 90% finally fail hi honge..
Isiliye sabke liye behtar ye hai ki 4th ke result me vyavdhan nahi daala jaye taki 5th ka notifiacatyion aa sake aur usme kafi seats aaye.. Aur failed students pls mehnat karein.. Ab kavi v 20000 result PT me jpsc me nahi aayega.. isiliye accordingly prepare karein aur CSAT hoga so scaling ka v issue nahi rahega aage se...
JPSC ne mains ke result par koi stay nahi lagaya hai aur next hearing ki date 12 septeber di hai..
Agar written me HC ne mains ke result par stay lagaya hota to kya aapko lagta nahi hai ki avi tak ajay chaudhary ya pankaj kumar ise likh chuka hota blog par.... LAst hearing jo 19 july ko hui thi usme jahan tak mujhe pata hai court ne verbally kaha tha ki bina is case ke decision ke koi result nahi aayega.. varbal words ka koi matlab nahi hota hai.. either written me order hota hai ya JPSC ne writing me diya hota .. To aisa kuch nahi hai as aisa kuch hota to jharkhand ke saare main news paper me aa aa jata... fir v kisi ko jpsc ke sources se kuch aur jankari mile to jaroor update kijiyega..
aap jo bol rahe hain woh baat sahi hai koi agar jpsc jaa kar kisi reliable source se pata kar update kare toh sahi jaan kari milegi .kyunki blog par biased view hi aayega jinhone mains diya hai woh kahenge ki result aane wala hai jo pre nahi clear kar paye i am sorry for them , woh kahenge ki pt cancel hoga ,so it's better ki koi jpsc ke source se pata lagaye .
Pt cancel hona hi hai.
pt cancel hona hi hai. Pt cancel hona hi hai. baar -baar ye kahkar pls. khud ko dhokha mat dijiye aur parhai kijiye future ke endeavours ke liye ... nahi to really difficulty hogi aage....
ajay chaudhary aisa bolta hai to samajh me aata hai since he is trying to become student leader to uska kaam hai ki sabjbaag dikhakar students ko mislead kare aur un becharon ki future se khele..
Kitna lamba explanation diya tumne anonymous beta. Par hoga kuch nahi. Deleted question ke liye jpsc responsible hai na ki student. Is liye jpsc ko students ko compensate karna hi hoga jaisa bpsc mai hua tha. Further wrong answer ke aadhar par pt result valid ho hi nahi sakta. Jpsc ka affidavit galat sabit ho gaya hai. Aur tum jada uudo maat . Tumhara prayas hum students mai phut dalane ka safal nahi hoga. Tum 5th jpsc ki taiyari karo, hum log to isi baar 20000 baccho ke saath paas karenge. Jai CJM.
anonymous dost tum bpsc aur jpsc ke beech me ek galti kar rahe ho ki whan scaling nahi thi aur yahan scaling hai.. agar marks barhega ya ghatega to uske accoring scaled marks v change ho jayega aur finally chijein wahi rahengi.. hardly 3-4 logon ko entry milegi... as har paper me scaled highest marks 199.99 gaya hai irrespective of ki unscaled marka kya hai .. hope ab tum samajhoge..
Jpsc pt cancel honge.
jpsc ki sahi jaankari jinke paas ho woh plz msg post karen ,rumour nahi .is blog par sahi information nahi mil raha d k jaiswal ji ,p k jaiswal ji .akash bhai,ravindra ji,etc jinke paas v ho kai log kafi pareshan hain .
Jankari ki kya jarurat hai. Yeh apne aap samne aa jaega. Jab answer key hi galat hai to us basis par mains exam ko to koi lower court bhi cancel kar dega.
Are yaar, jankari hi jankari pao yahan. Pt & mains dono cancel. Jaaiye aur 15 Aug ko laddu batiye.
Jarur. Aap bhi laddu kha lijiyega.
jpsc ne pt main reservation dene ke liye SDO label ka caste certificate maanga. bahuto ne SDO lable se niche ka certificate show kar pt. main reservation le liya, kyoki aayog ne uss samay thik tarah certificate ka jaanch nahi kiya aur iss rajya se bahar ke logo ko reservation ka fayada mila.
MAINS me jab aayog ko apne galti ka pta chala to ussne reservation lene walo se yaha ka permanent domecile maanga aur kaha ki nahi dene par unhe GENERAL candidate mana jayega. lekin adhikans logo dwara domecile na dene par unhe phir se MAINS exam main samil hone ka awasar de diya gaya.
Saaf hai ke aayog jharkhand se bahar ke logo reservation de rha hai.
dear friends
highcourt, jpsc , aur jharkhand sarkar kya kar rahi hai aap log khud sooche ?
2nd jpsc humlogo ne larkar C.B.I. enquiry karwaeee, no wark no pay ka dicision hai lekin
8 aug. ko supreme court me sarkar(a.g.- anil kumar sinha ka relatives- rohit sinha 2nd jpsc me hai) ne jawab file nahi kiya jiske karan no wark no pay ka dicision stay ho gaya.
eska matlab ye nahi ki sarkar jeet gayi aur hum har gaye.
abhi mai kisi ko chornewala nahi.
4th jpsc me 23 july ko case no. 2487/12 me judge (n.n.tiwari) ne kya kaha…
“mains ho gaya to kya huaa, jpsc ko model ans. dena hoga, jawab dhakhil kare jpsc”
9 th aug. ko case no. 2487/12 me judge (n.n.tiwari) ne kya kya kaha….
“ab to mains ho gaya hai esliye aap aage ki exam ki taiyaari kare”
aur agli date.12 sep. ko
aaplog khud sochee ki ye judge sahab kab aapni juban se bolte hai aur kab apni……. se.
ab humlog kare to kya kare.
sarkar nahi sunti, court nahi sunta fir kise bataye chhatro ke saat ho anyay ko.
eska matlab ye nahi ki n.n.tiwari ke baad jharkhand ka judicial system khatam ho jata hai
abhi 5860/11 hai jo ki D.N. PATEL ke court me esi month me fix date me laga hai.
aur 25 aug ko CIC me bhi model ans. ka hi case laga hai.
agar 3rd time re-re-re-revised model ans ke sirf p.a. me 9 question ke model ans change karne par 4-5 wrong ans abhi bhi hai. to aaplog sochee ki sociology me jpsc ne 3rd time re-re-revised me 46 question ke model ans change kiya hai. usme kitna wrong ans hoga?????????/
law optional ke abhi bhi 12 model ans wrong hai.
aur 23 optional paper me lagbhag 200 wrong hone ki sambhawna hai.
aur pichali baar to 210 model ans me garwari ke karan 840 paas student fail ho chuke the
esi karan 2194 result ko baar baar badkar 3513 kiya gaya fir bhi 327 pass student fail hi rah gaye.
esliye 23 optional paper ka jab model ans samne aaya to 3513 me 900-1000 student to gaye.
esliye intzaar kare.
ajay jee last time jo fail hue tha usme se jyadatar model answer badalne ke chalte nahi balki scaling system badalne ke chalte fail hue the..pahle 200 me 220-240 tak marks de diya gaya tha jo baad me ghata kar 199.9 tak kar diya and this is the reason that most students failed..
scaling system badalne ke chalte bahut saare history ke students include hpo paye the...kuch model answer ke badalne chalte v bahar hue the but majority was of those who cud hv failed b/c of change in scaling system....
itna sannata kyu hai is blog par.. kyu ajay chaudhary ka comment aate hi sab pt cancel karane wale aur 20000 result lane wale ki nikal gayi....
Ab ajay chaudhary logon ko gumrah kar raha hai ki 900-1000 students ko hatwakar naye 1000 logon ko wo jagah dilwayega....
Kitna bada jhuth hai ye.. wo logic de raha hai ki 1st time 200 question ka answer change hone se 840 ladke fail hone wale the jisme se finally 327 fail hue as seats bada diya jpsc ne..
Jabki haqiqat ye hai ki jyadatar ladke galat answer nahi balki scaling method change hone ki wajah se fail ho rahe the re-revised result me..
pahle history ko chhorkar baki saare subjects ko 220-230 aur 240 tak no mile the scaling me out of 200..history me highes bus 182 tha.. aur general ka cutoff 243 tha to bahut se ladke jinhe kafi kam marks mile the gs me wo sab v faulty scaling ki wajah se qualify kar gaye..
JAb scaling method chg kiya gaya to saare paper me highest around 199 diya gaya jo ki history me v tha..aur baki ko usi ratio me no diya gaya.. Aur general ka cut off 262 chala gaya..Ab gs me minimum 63 lna hi tha as 199 highest aa sakta ta paper me.. uske chalte bahut se ladke jina gs me 50-55 tha wo sab pahle to faulty scaling ke chalte qualify kiye he but ab fail ho gaye... so 3 ranker 7 ranker aur maximum ladke fail ho gaye .wrong answe se hardly 40-50 ladke affected hue the..
isiliye aaplog pls in baaton se gumraah na ho...aur apna keemti waqt barbaad na karein..
jo jpsc mains likhe hain pls. jpsc chairman ko n controller of exam ko mail likhein ki mains me v scaling kiya jaye taki saare papers ko level playing field mil sake otherwise baki log sirf mains likhenge aur qualify sirf regional language aur lsw wale karenge.....mail id jpsc.gov.in par vailable hai..
jharkhand men JPSC bina किसी niayam kanoon ke age badhta hi ja रहा है yahan pe Judiciary pe भी bahut ज्यादा load है jiske karan कोर्ट भी ज्यादा कुछ नहीं कर प् रहा है लेकिन ये ज्यादा दिन tak नहीं chal sakta है कोंकी किसी न किसी दिन भन्दा फूटेगा और सबको न्याय जरूर milenga यह राज्य का दुर्भाग्य है की आजतक इसको कोई भी अच्छा मुख्यमंत्री नहीं मिला जो पढ़ा लिखा और समझ्धर हो और उसको प्रशाशन का गायन हो
In Jharkhand our dreams are killed every day hopes are dying every day no job..corruption and mismanagement is everywhere.
JPSC is the centre of all corruption the officials are inefficient and corrupt.
JPSC 4th is also going like 2nd the people will be appointed with it will be debarred by court in times to come.
It could be better to scrap the exam and conduct fresh examination solve the issue no doubt Chairman’s efforts are good but he is not getting support from the junk system of Jharkhand.
Jharkhand is on the verge on another revolution.
It has became a model state as far as corruption is concerned.
Jojar Jharkhand
Sorry guys dil ki bat likh di. Thanks pankaj for licking my l***.
kabtak jpsc mains ka result aaraha hai.. koi idea?? ye ajay chaudhary type ke logon ko ignore kijiye.. wo khud to kisi kaam ke hain nahi aur dusron ko v pareshan karte hain aur kar war kuch pate nahi...bus shor machana inse sikhe.. kaise gande language ka use kiya hai ek sitting judge of HC ke liye.. chut*** hai ye...
akash bhai you provided right info regarding jpsc hearing on 9th of aug, i know ,am showing greedy streak ,but for sake of other concerned students as well ,please provide reliable infomation regarding jpsc result ,because as you know blog is full of abuse and biased opinions from both sides i.e. pt successful and not so successful. i and others would be grateful to you. this plea is also for d k jaiswal ji , pankaj kumar, p k jaiswal ji etc . thanks
akash bhai you and other concerned aspirants would heed my earlier suggestions and queries ,as soon as ,possible .thanks .
Sabhi subject ka copy check ho chuka hai. Regional ka bhi. Tabulation aur scruitiny process chal raha hai. Scaling process bhi apply ho raha hai.20th ko jpsc me baithak hai. 23rd August ke baad kabhi bhi result aa sakta hai. Wait kare.
thank you akash bhai
Aur 12 september ke baad kabhi bhi cancel ho jayaga ye nikala hua result.
anonymous bhai lagta hai tumne apne guru ajay chaudhary ka comments upar nahi parha.. kya kaha court ne --
“ab to mains ho gaya hai esliye aap aage ki exam ki taiyaari kare”
aur agli date.12 sep. ko
jab v court 1 month ke baad agl date deta hai matlab smajh lena chhaiye ki case khatam ho gaya more or less..
Isiliye agle exam ki taiyari karo...
Pt cancel hone ja raha doston. Ye kaun baklol sab aaltu faaltu report de raha hai. Ye chor uchakka sab aise hi bakwaas me time pas karta hai.
ab kuchh nahi hoga bete. agey ki taiyari karo. justice tiwari ne kya kaha suna na. ajay tum sabko chutia bana raha hai.
Ha ha ha ha ha mains nahi ab pt cancel hoga. ha ha ha ha budhhiheen jara to akal lagao.
Wrong keys par based result kabhi bacch hi nahi sakta.
jharkhand me to select hokar 4 years service karne wala bhi terminate hone ja raha hai to phir 4th jpsc main cancell hona kaun si badi baat hai?? suna nahi ki 2nd jpsc scam case me hearing karte hue double bench ne kya kaha tha? court ke anusar 172 me 146 galat tarike se select hue hai isliye poori prakriya hi galat thi isliye 2nd jpsc ka notification hi null and void ho jana chahiye. agar 4th jpsc me single bench ne kuch nahi bhi kiya to double bench me mamla jayega hi aur usi bench me appeal ki jayegi jisme 2nd jpsc ki sunwai chal rahi hai. us bench me to main cancell hona hi hai bhale Hi N.N. Tiwari sahab kuch bhi decision de.. main ka result 20 August ke baad aana posible nahi hai dosto.
Ajay je ka maynath brabad nahi ho ga.
Sunte hain k jpsc cancel hone ja raha hai. Aaplog ko koi khabar ho to share kare. Fir pt kab lega. Kahi dusre exam se clash to nahi kara dega. Ek bar fir se dar lagta hai. Aap log ko kya jankari hai. Kripya sahi jankari hi share kare. Thanx.
Cancel to hoga hi,lekin thoda time laga yahi baat hai.
Kuch to log kahanga logo ka kam hai kahana ub PT nahi MARCHPAST hoga be ready study GO dekho bakar ki bato may kahi beet na jaya raina
thanks akash...
results have been prepared by jpsc n they r going to publish it the last week of august...
about 670 students will appear in the interview.
The place where jharkhand administrative services training will take place was given to IIM ranchi but jpsc has also directed the IIM ranchi to vacate the training premises. the students of IIM ranchi have been shifted to khel gaon.
Jpsc is fully prepared to complete the examination process by October.
All the best:)
ajay chutriji i hope your info is crrect because as you know the level of comments and romours on this blog ,earlier it was told by someone that result would be declared before 15th of august , but it turned out to be hoax , i hope and believe your info is correct like akash bhai .
noone is talking about marking pattern in pub admn , socio ,anthro ,hist,hindi etc ,almost all of the bloggers are talking about regional paper and lsw ,anyone who have fair idea regarding these subjects ,plz update if you can and should be reliable ,thanx .
yahan par kuch log PT cancel hoga mains cancel hoga kah rahe hain.. mujhe aise logon par hansi aati hai.. Ek to wo ladke hote hain jo ki boundary line par the aise 10-15 ladke jo 1-2 wrong answers se prabhawit hue hain... unse hamein v sympathy hai.. par yahan par is blog par jyadatar wo ladke likhte hain ki pt cancel hoga , mains cancel hoga jinka ki 20000 result aane ke baad v nahi hoga.. wo sab inferior quality ke (in hindi doyam darje ke) students hain.. Aur wo khud v jante hain ki wo fail isiliye hue hain ki unohne mehnat nahi ki but aage mehnat karne ki bajay aur apne shortcomings ko accept karne ki jagah par ye kisi aur jagah apna dosh marhna chahte hain.. ise defence mechanism kahte hain... 23rd ko Asst PF commissioner ka exam hai group A service hai.. pls. unke liye preparation karo..aur daydreaming chhor do.. aur don't compare 2nd n 4th jpsc.. whan corruption tha yahan atmost 1-2 galat answer ko mild formof inefficiency kah sakte ho..jo ki system me ek din me nahi badalega.. aur is basis par koi exam cancel nahi hota...
23 ke asst pf comnr ke exam me kabadna.
bahut blog hain par kahin yeh condition nahi hai. kuch log gali ka prayog kar rahe hain ,gusse me hain par yeh batayen jin logon ka pt clear hua usme unki kya galti hai aur yadi aap jpsc ka virodh karn to samajh me aata hai ab jinhone mais diya woh toh chahenge ki result aaye isme woh kya galat soch rahe hain pure bharat me ek example den jahan kuch wrong answers ke karan pt ya mains cancel hua ho aise bhi sochen 670 ke aas paas logon ko bulaya jayega to karib 1600 ya 1700 logon ka nahi hoga phir ye log sikayat karenge ki mere saath galat hua toh ye hota hai par ek dusre ko gaali nahi den sab students hain aur apne taraf se koshish kar rahe hain ,thanx and bestb of luck to all .
upsc .hppsc .rpsc,bpsc,cgpsc,mppsc etc kahin bhi cancel wala kaam nahi hua hai haal me rpsc judicial service mains par supreme court ne stay lagaya kyonki expert opinion aur amicus curiae ka report alag alag tha kuch galat answers ke karan exam cancel nahi hota jyada se jyada fresh result ya additional result diya jata hai abhi dekhiye 22 aug ko haryana ka court me hearing hai par hpsc ne mains ki date nikal di 2 sept se ,2010 me same case ua tha himachal me pol sc ,hist aur philosophy me par kuch nahi hua aur result aaya finally halanki sirf ek up ke student ko chhor kar kisi bhi outsider ka nahi hua .ssc graduate level me bhi ab model answer jari hone ke baad pata chala hai ki appointment galat model answers par hua hai ,aur sabse badh kar upsc ne aaj tak model answer jari nahi kiya ,pichle saal ek ladki ne rti dala troh pahli baar reply kiya hai chahe to aap log dekh sakte hain www.win2vin.com par .main wrong answers ko justify nahi kar raha par dusre fellow students ko nicha na dikhayen ya gali na den balki blog ka use achhi chizon ke liye bhi ho sakta hai mujhe aasha hai aap log samjhege pt successful and unfortunately others who couldn't . thnkx
mains canceal ho yahi sabke liye behter rahega... bpsc ke karan bihar ke ladke exam nahi de sake thhe...sath hi galat answers ke karan bhi kai log mains ke liye qualify nhi kar sake thhe.
20000 result ho ya 50000 ya sabhi ko sidhe mains me baitha diya jaye... pcs me utna fark nahi padta... kyoki keval kuchh log hi mains ki achhi taiyari kar pate hai... adhiktar log to part timer hote hai... one day ke sath pcs bhi dete hai.. unse kya darna... bpsc me hi pichhale 2 bar se hajaro ki sankhya me pt result aa raha hai... pt me sabhi ko pas kar diya ja raha hai ...isase chhatro ka hi nuksan hai ..... wyarth me ve aisi chij ki taiyari me samay barbad karte hai jisme safal hona unke bas ke bahr ki chij hai...... ab isi bar bpsc me 17500 student fail hone wale hai..
pahle 2000-3000 result aata tha... mains likhne wale 3-4 prayaso me finaly safal ho jate the... jo pt nahi nikal pate the wo ssc... b.ed aadi ki tarf chale jate the... adhik result se kisi ka bhala nahi hota..
Kitna baada baada comment likh raha hum log ko convince karne ke liye. Par ek baat jaan ja wrong keys par koi selection ho hi nahi sakta. Yeh baat aab jpsc ko bhi pata lag gai hogi. Wo khud in keys ko correct karega.
"Sabka malik ek"
"jai sai ram."
bet anobymous avi v tumhe akal nahi aayi.. tera rank pt me kitna tha.. jara bata dena.. maa baap ke paise mat barbaad kar.. thodi parhai kar le.....warna 50000 result me v nahi hoga.. tera pucca SSC ka jo result aaya hai usme v nahihua hoga tera....mains cancel karayega...ajay chaudhary ka rishtedaar lagta hai..
udhar BPSC ka haal dekhiye.. jaisi news blog par aa rahi hai use is baar geography wale savi qualify karenge.. wahan lottery system par hota hai.. is baar 4 subject boom karega agli baar doosra 4 subject...exam ka process 4 year ka hai.. to dobara mauka aate -aate 12 saal lagenge kam se kam..BPSC ko pahle hi bol dena chahiye ki is 4 subject ke ladke hi appear hon is baar. This is mockery of the exam system... Best is to go for scaling so that all can be at level playing field.. aur next time se optional system hi hata dena chahiye.. common subjects like pub ad eco etc hona chahiye...kam se kam jpsc scaling karke sabko equal mauka to de raha hai..
@ anonymous
bhai sacch baat se itna bhadak kyun gai. Tumhe kya lagta hai jpsc yeh janane ke baad ki keys me galatiya hai, apne aap ko correct nahi karega. Are yaar phir se pt ya mains hoga to tum logo ko faida hai kyun ki tum log already ek mock test de chuke ho.
most arrogant and vituperative people are commenting on this blog because of helplesness we can't do anything because regarding jpsc only info wire and anubhuti blog could be depended upon .akashji ,if you get any updates plz keep inform us . so ,that we could get freedom from these parasites .thanx
When you cannot counter the argument start abusing. That is an old strategy, friend. Yes i am calling you friend despite being called a parasite. But the truth remains that no commission after knowing that its keys are not 100% (yes 100%) correct can go forward with selection process. It has to rectify its fault. From next time donot try impress us by your voluminous english because if we decide we can eat english, talk english and f.... english. But still hindi will continue to be our medium of communication.
rectification alas ,after so many slanderous trolling rectification ,here socalled concerned people are talking about cancelling pt and mains ,thank you very much for at least some sensible suggestions ,on this matter i am not at odds with you ,but ,what about those nonsense which others might have posted .
Dear Anonymous: I would like to bring the fact into your notice that.
JPSC was already knowing that their hard earned model answer key(Three Time Revised) is still have errors.
If they would have confidence in their Answer key then they would have published on their web site.Why they are still hiding.
One way Charmain is telling about transparency and other way they are not coming out with much needed information.
JPSC is trying to play with the lacuna in judicial system.
Playing with the career of the student and Development of the Jharkhand State.
Sabhi subject ka copy check ho chuka hai. Regional ka bhi. Tabulation aur scruitiny process complete ho ghuka hai. Scaling process chal raha hai.20th ko jpsc me baithak hai. 23rd August ke baad kabhi bhi result aa sakta hai. confirmed news.total 670 pass honge. Newly oppointed assistant is my langotia yaar.
maam , i understand the very fact about lacunae in the selection process till now ,i amn't defending jpsc ,i was only arguing that to call for cancelling pt and mains is a little bit exaggeration ,i am putting the rest of my argument with emphasis that i also want trnsparency and accountability but asking for quashing the result is sheer absolutism and hollow rhetoric .
thanx akash bhai but plz be guarded against rumours .thanx again for info .
Jpsc मुख्य परीक्षा मेँ मैँने anthropology paper-1 मेँ केवल 22 पेज मेँ सारे उत्तर लिखे जबकि मेरे दोस्तोँ ने 30-36 पन्नोँ का उपयोग किया। क्या इस कारण से मेरे marks कम आ सकते हैँ?
THRE IS NO CONFIRM NEWS! ABHI TAK REGIONAL KA PURA CHECK NAHI HUA HAI, AAJ HI MERI BAAT KORTHA KE TEACHER SE HUI HAI. IS BAAR BHI KORTHA BOOM KAREGA, AVERAGE 260-270 MILE HAI KISI KISI KO 290 & 300 BHI. AAKASH BHAI APNI ENGLISH SUDHAAR LIJIYE( "APPOINTED")
AUR "23 KE BAAD KABHI BHI" KA KYA MATLAB HAI.... SEPT ME, OCT ME, NOV ME, YA DEC ME????? YAAR JAB KUCHH CONFIRM NA HO TO MAT BATAYA KARO. AS FAR AS THE NEWS FROM JPSC OFFICE IS THAT STILL IT WILL TAKE AT LEAST 20 DAYS, MAY BE 30 DAY SO USSE PAHLE TO KOI CHANCE NAHI HAI. DOSTO PADHAI KIJIYE, AAGE BAHUT VACANCIES AANI HAIN. JPSC ME HONE KE BAAD DY.S.P BANE RAHNE HAI YA I.P.S. BANKAR DIRECT S.P.??? SO LOOK FORWARD. JOHAR!
Sonalika tum ekdam hi sahi bol rahi hai. Ye shib basant sabko duba kar hi chhorega. Hamko samajh me nahi aata ki iss bakwas aadmi ko bachchon se kyo dushmani hai.
akash bhai i hope you have come across the above post regarding jpsc result and it's subsequent exhortation about "at least 20 days " delay etc . i do believe you could shed light on it but plz after further confirmation ,maybe his source could also turn out to be reliable ,anyway have a good day .
Dost JPSC me scaling hoga mains me.. ye clearly kaha hai controller ne.. to prescaled marks kitna v aa jaye..khorta me aur kahin v but post scaling to wahin aa jayega.. sab log apni taraf se mail bhejiye chairman ko scaling ke liye..hum logon ne 6-7 mail bheja hai.. aap log v bhejiye.. nahi to baki optional bus naam ke liye hi appear honge....
dost aakaash aur us so called anonymous ke beech me aakash jyada authentic info dega as usi ne sabse pahle bataya tha ki agla date 12 ko hai.. aur jahan tak uska ye kahna ki 23 ke baad kavi v aa sakta hai.. ab wo exact date avi nahi bata sakta as usne hi kaha hai ki 20 ko meeting hai.. so date shayad wahan decide ho.. aur detail me to aakaash hi bata sakta hai..
yes ,i got your point but as you know problem lies in various type of info ,sources and post ,i am only relying on akashji 's info ,and other problem is we don't have sources and many of them are not the resident of ranchi ,so what you said is true .
if scaling is going to happen in JPSC mains then its a welcome move we all must welcome…IT and plzz Behave like would be bureaucrat….
yes ur rt.. MOst of the tudent who appeared in JPSC are orking and not a resident ofranchi n second thing is that less no of students have appearedin jPSC in comparison to BPSC so obviously less news will come out..In BPSC chair table everyone is appearing in mains(yes seats are on higher side).. so they hv more info...
akash bhai , it is wisely understood that because of eid mubarak ,jpsc meeting would be postponed for tuesday or wednesday but there are apprehensions that perhaps regional paper hasn't been corrected and other one is that scaling process is ongoing or stuck for wanting of conclusion of regional papers . we must admit there is delay but we don't know the reason .thanx
jpsc mains result will be out between 25-28 august. 667 candidates have been shortlisted for Interview. cut off is yet to be confirmed but it is around 683. candidates from geography and public administration have an upper hand.
avinash bhai ,there are numerous rumours on this blog regarding jpsc result ,i sicerely hope that your info is predicated on reliable sources .thanx for sharing this info .
mukesh mahato ka bhai aur gopal singh ka beta dubara officer banenge..... badhaiyaaaan!!!!!!
pankaji can you plz provide authentic news about jpsc mains result publication some are saying that it will come in last week of august while some are guessing it in sept .plz provide details and also when is interview likely to be held.
jb newspaper me publish hoga to pankaj ji cut copy paste kr denge ...tb tak wait kijiye.
akash bhai ,when you get the time plz update about jpsc result thanx
Bhai Jungle raj me Result aye ya naa aye sab barabar hai.
Jab Chor Loog Re-appoint ho gaye wo v sarkar de dwara to ab yahan insaaf nahi milenga.
Supreme court to bhi ye bargala deten hai.
Court ka bhi Majak Banta jaa raha hai.
Yahan koi nahi sunane wala hai.
Andher Nagri Chaupat Raja.
BJP ko 5 Seat bhi nahi milenga.
Munda ka gondaraj jari hai
bhai cbi ki inquiry kahan tak pahunchi?? koi idea ya unhe v manage kar liya gaya paise khilakar??
are kaluram kya haal??bahut din se dikhe nahi the dost.. tumne to lsw aur nagpuri liya hai..is baar to tu v sudesh mahto ke bhai ke saath officer banega....waah - waah..
Isme koi sak nahi hai. Scaling bhi nahi ho raha hai.
Hi friends, first of all thanks to all for sharing your valuable informations. Rural Development Officer ka Grade Pay kya fix kiya gaya hai...? Philosophy ka paper check ho raha hai ya nahi....? please share if any one have these information.
Post a Comment